Sunday 27 March 2016

About  JNU

Tere vichaar teri jagir hai , tere shabda hai tere apne
jab chahe tu vyakt kar , kab roka hai hamne
par yaad rakh , eak seema hai , kehne ki or sehne ki
apni parvarish par tu dhayaan de , or na de inko panapne
ummeed tujhse lagi hui thi , or dav par the kuch sapne
matrabhumi ki jai bhulkar , kis naam ko laga tu japne !
Rakh de apni baaton ko , shistta mai ghol ke
har manushya ka man mast karde , aise baatein bol ke
saadgi tera abhimaan hai , vichaar teri pehchaan hai
vicharo ko tu vyakt kar , har katra katra tol ke

Thursday 24 March 2016

For holi

Rango ke is rang mai , rangeen hai aabha teri
ajab sa tera noor hai , saksiyat wah wah teri
nazre sabki palatne lagi , jo tu bazaar mai chali
aashiq sabko bana kar apna  , chali sang lekar rah teri

Tuesday 22 March 2016

Chasme ke piche , jhank rahi thi do nazre
shayad puch rahi thi , ki huzur kaise hai aap
sabdo ki kami thi , aankhon mai nami thi
mai tha unke sahar mai , unki jami thi
hum pas aaye , vo muskurai
pucha hame yaad karte ho , vo sharmai
asmanjas mai the hum , kaise unhe samjhaye
jis baat ne ashko ka sagar baha diya , kya phir unhe batae

A deep one

unki masoomiyat ko kaise baya karu a yaro
dhokebaz khud dhokha kha jate hai , unka chehra dekhkar .
Rang hai tere aang mai , par sang tere mai nahi
jeevan bhar na sath ho , to do pal milna hi sahi
kese bhool jau tujhe , haseene na cheez ko
gujarti hai kaano mai , baate vo teri ankahi .
For those who believe to much in shubh-ashubh

Har shan shubh hai , har pran shubh hai
dharti ka har kand kand shubh hai
hai shubh sada sanchaar sakal
ho ya yug ya ho eak pal
Is shubh ashubh ke jhanjhat mai
kyo tera vishvas ho raha vifal
bhale ke liye jo tune kiya
vo na hoga kabhi nishfal
man he tera bavla parinda
hai avichal or hai chanchal